Search Box

Tuesday, October 9, 2007

Life Ki RingTone

*Gham ko karo delete,*
* *
*Khushi ko karo save,*
* *
*Rishton ko karo recharge,*
* *
*Dosti ko karo download,*
* *
*Dushmani ko karo erase,*
* *
*Sach ko karo broadcast,*
* *
*Jhooth ko karo switch off,*
* *
*Tension ko karo not reachable, *
* *
*Pyar ki karo incoming on,*
* *
*Nafrat ki karo outgoing off,*
* *
*Language ko karo control,*
* *
*Hassi ka karo outbox full,*
* *
*Aansu ka karo inbox khaali,*
* *
*Ghusse ko karo hold,*
* *
*Muskan ko karo sent,*
* *
*Help ko karo ok,*
* *
*Self ko karo autolock, *
* *
*Dil ko karo vibrate,*
* *
*Phir dekho life ki ringtone kitni POLYPHONIC ho jayegi*.



Ab tak to jo bhi dost mile, bewafa mile

Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile
Dekhen hamein naseeb se ab, apne kya mile
Ab tak to jo bhi dost mile, bewafa mile
Hamne udaasiyon mein guzaari hai zindagi -2
Lagta hai dar fareb bewafa se kabhi kabhi -2
Aisa na ho ke zakhm koyi phir naya mile -2
Ab tak to jo bhi dost mile bewafa mile

Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile

Kal tum juda huwe the jaha saath chhod kar
Hum aaj tak khade hain ussi dil ke mod par
Hum ko is intazaar ka kuchh to silaah mile
Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile
Ab tak to jo bhi dost mile, bewafa mile
Dekhen hamein naseeb se ab, apne kya mile

Ab tak to jo bhi dost mile, bewafa mile


Dil Ke Armaan Aansuon Mein Beh Gaye

Dil Ke Armaan Aansuon Mein Beh Gaye
Hum Wafa Karke Bhi Tanha Reh Gaye

Zindagi Ek Pyaas Bankar Reh Gayi
Pyar Ke Kisse Adhoore Reh Gaye

Shayad Unka Aakhri Ho Yeh Sitam
Har Sitam Yeh Sochkar Hum Seh Gaye

Khudko Bhi Humne Mita Daala Magar
Faasle Jo Darmiyaan The Reh Gaye...

Insaan

HAR PAL IS DUNIYA ME INSAAN DHUNDTE HAIN HUM
JISME INSAANIYET HO AISA SAKHSH NAHI PATE HAIN HUM

AAJ EK GARIB KI LAASH PE BAITHI HUYEE MAA KO DEKHA
KAFAN KI INTEJAAM ME TADPATE HUYE BAAP KO DEKHA

DEKHA HUMNE LOG ATALON SE YE MANJAR DEKH RAHE THE
KUCH DABI DABI AAWAJ ME BAATEN KEH RAHE THE

PAR KISI NE US MAA KO HIMMAT NA DI
KISINE US LAASH KO KAFAN NA DI

RAEESON KI MAYYAT ME LOG HAZAR DEKHA HAI
KAFAN KI NA POOCH PURA BAZAR DEKHA HAI

YE TO EK BAAT THI CHOTI SI
BAHUT SI BAAT HUMNE DIN RAAT DEKHA HAI

GARIB KI LADKI KO SAREBAZAR DEKHA HAI
AMEER KI BEHAYEE KO BHI PARDANASEEN DEKHA HAI

DEKHA HAI HUMNE BUDDE MAA BAAP KO ASHRAM BHEJTE HUYE
AUR YE BHI DEKHA HAI MAA BAAP KO TUT KAR ROTE HUYE

DEKHTI HOON LOGON KO DIL HAATH ME LIYE GHUMTE HUYE
LEKIN DEKHA NAHI KABHI KISI KO MUHABBAT SE MILTE HUYE

HAR CHEHRE PE CHEHRA HUMNE HAJAAR DEKHA HAI
IS DUNIYA ME PAR NA KOI INSAAN DEKHA HAI


Maa


Maa duniya ki sabse aazim daulat hai
Maa musibat me gham qawar mayusi me umeed ki kiran
aur kamzori ke waqt quvvat-va- hausla ata karti hai
Maa ---mohabbat, rahem hamdardi ka sar chasma hai lafz MAA

MAA hamare dilon ki ghairaiyon me hama waqt chipa rahte hai
jis tarah khusbo gulab ke phoolon ke dil se nikal kar fiza mein
phail jati hai --isi tarah khushi aur gham me MAA ka lafz dil ki
gahraiyon se uth kar be -saqta hamare labon pe aa jata hai.

MAA ke qadmon tale jannat hai

maa ki asal qubsurat is ki mohabbat hai aur meri maa duniya ki
qubsurat MAA hai

MAA ke bagair ghar ek qabrastaan hai
MAA ki god insaan ki pehla school hai

MAA zindagi ki tareek rahon me roshni ka minar hai

MAA se badhkar koi ustaad nahi
MAA ki dua meri kamiyabi ka raz hai

MAA ki mohabbat phool se zyada taaza aur qubsurat aur sundar hai....





No comments: